*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, DAY :94,

 

Hazrat Muaz Bin Jabal(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) “BAAGH” me Namaz ada karne ko Pasand farmate.
(Vol/1,H,No:335),
Dars : Dosto, Baagh me Namaz ada karne me Ibadat ki wus’ath aur Aasani ki taraf isharah hai,ke jaha bhi aap raho,agar Namaz ka waqt ho jaye to wahi per Namaz ada karle to Namaz hojati hai,
Is Hadees me un logo ko bhi dars hai,ke jo log Tijarat,Educational Feild aur jo Mulazim etc hote hai,aur unhe Masjid Door hoti hai,to unko apni hi Office ya kamrah me Namaz ada karna zaroori wa farz hai?kisi qisam ka bahana banaye to Isme Khud ka hi “NOQSAN WA KHASARAH” hai.
Allah hame her haal me apni Bandagi ki taufeeq ata farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like