*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY:98,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Jab Raat ka Khana Hazir hojaye aur Udhar Namaz khadi hojaye to Ibteda Raat ke khane se karo.
(Vol/1,H,No:354),
Dars:Dosto,Bohat Ghaur karne ki Baat hai,ke ..
Namaz Padhna Farz hai,aur Khana usi waqt khana farz Nahi hai,yani Baad me bhi kha sakte hai,to phir pahle khane ka hukm ?
To uski asal wajah ….KHUSHOO…ki Ahmiyyat Batlana hai,wo ayse ke jisko bhook ho aur Saamne khana aye aur Wo Namaz me masroof hojaye to poori Namaz me wo Khane ke bare me hi sonchega,aur uska KHUSHOO Wa Ikhlaas bhi Khatam,
Lehaza ibadat me”KHUSHOO”ki badi ahmiyyat hai,kyu ke yahi Ibadat ki Bunyad hai.
Allah sabko Khushoo ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like