DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 775,Hadees No :2685,*

Hazrat Abdullah ibne Masood
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Momin Bandah apne Gunaho ko Pahad(Montain) ke Barabar Is tarah Samajhta aur Darta hai,ke Wo Pahad ke Neeche Khada hai,aur uske Uper gir jayega..!!
Aur Gunahgar Shaks apne Gunaho ko us Makkhi ki tarah Samajhta hai,ke jo Uske Naak(Nose) per Baithi hai,aur thodi Harkat se wo udh jayegi.
(Vol/2,Hadees No :2685),
Dars : Momin Apne Gunaho ko Pahad ke Barabar Samajhna aur uska uske uper girne ka khayal karna ye uski Nadamat aur taubah ki taufeeq hai,aur Allah se Darr ki Alamat bhi hai,isi wajah se usko Gunaho se Hifazat aur Sacchi taubah se Bakhshish bhi Naseeb hoti hai,lehaza jitna hosake Gunaho se bachna hai,agar Hojaye to fauran usko dobara Na karne ki koshish karni hai,
●● Gunahgar (fajir) shaks ka apne gunaho ko chota samajhna aur uski talafi ko aasan samjnha uske BAD NASEEB honi ki Alamat aur Taubah ki taufeeq Na hone ki taraf isharah bhi hai,lehaza Har chote aur bade Gunaho se jald hi taubah karleni hai,
■■ Aaj kal gunaho ko zeenat dekar ya Naam badal kar pesh kiya jaraha hai,aur kayi Gunaho ke Kaamo ko log Bad Qismati se Gunah hi Nahi samajh rahe hai,Haqeeqat me wo Gunah hi rahenge,hame unse Bachna hai.
Allah hame Sacchi Taubah ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like