DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 776,Hadees No :2686,*

Hazrat Abdullah ibne Masood
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah Bandeh ki Taubah se Us Shaks se bhi Ziyadah Khush hota hai,jo Shaks Halakat Naak jangal me Apni wo Sawari kho de jis per uska Khana,Paani aur Safar ka tosha ho,phir wo us ki Talash me Nikle yaha tak ke wo Maut ke Qareeb hojaye phir usi maqam le laut jaye jaha se uski sawari kho gayi thi,aur waha aane ke Baad uski Aankh lag jaye phir wo Bedar hojaye aur Aankh khulne ke baad wo Apne Saamne apni Sawari ko dekhe to jitni khushi usko hoti hai,Allah Bandeh ki taubah se us se bhi ziyadah khush hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2686),
Dars : Zindagi me Bohat si Nemate hoti hai,Baaz ka Ta’alluq Dunya se hota hai,aur Baaz ka Akhirat se Lekin Dono jahan me Zeenat bakhshne wali Nemat “Momin ki Sacchi Taubah” hai,jis waqt bhi Allah Taufeeq de to Dil se Sacchi Taubah karleni Chahiye jis se Dil ko Haqeeqi Sukoon Naseeb hota hai,
●● Taubah ke Bohat se Maqamaat hote hai,wo Rabb ke Saamne bhi hoti hai,Bado ke Saamne bhi,phir ye Maafi ka Naam bhi ikhtiyar karleti hai,jo Hame Chahiye ke jinko Hum se Zubani,jismani ya Dili takleef huvi ho to Maafi bhi Maang leni chahiye is se usko Taubah aur Maafi Dono ka Ajr milega,lehaza jitna Jald hosake maafi maang leni chahiye warna Khud ki aur Doosro ki zindagi ka koi Pata Nahi….!!.
Allah hame Sacchi Taubah ki taufeeq de..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like