DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 778,Hadees No :2687,*

Hazrat Anas Bin Malik
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Insaan khata(ghalati) karta hai,aur Un Khata Kaaro me Sab se Behtreen wo Hota hai,jo Khoob Taubah karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2687),
Dars : Har Insaan se koi Na koi Khata isliye Sarzad hojati hai,kyu ke Uske Paas Aqal aur Shahwat fitri taur per paye jate hai,jinme thodi bhi kotahi ki jaye to Khata Aasani se hojati hai,aur to aur Shaitan to insaan ke peeche hi laga rahta hai,wo bhi ayse mauqo ko Nahi chodta hai,
■■ Uska Doosro matlab hargiz ye Nahi ke Insaan khataye karta jaye Balke wo Quran wa Hadees ki taleemat per Amal kare aur Allah walo ki Sohbat me rahe aur kasrat se isteghfaar padhta rahe to Allah uski Hifazat farmayega insha Allah,
☆☆ Hame Chahiye ke har Choti khata se bhi bachte rahe warna ye Choti khataye Badi khata ka Raastah nikalti hai,phir wo Khata se Gunah ka Naam ikhtiyar karleti hai..!.
Allah hame Har Badi aur Choti khata se mahfooz rakhe..Ameen Ya rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like