DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 790,Hadees No :2701,*

Hazrat Abdullah Bin Amr 
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Do Aadate Jis Bandeh me hongi usko Allah Shukr guzar wa Sabr karne wale Bando me Shamil karega,wo ye hain,ke
Jo Shaks Apne se Doosre ko Deen me Aala paye phir uski Iqteda(follow) kare,aur Apne Doosre ko Dunya me Kam tar paye phir Apni Nemato per Allah ka shukr Baja laye to Allah usko Shakir wa Sabir Bando me shamil kardega,
Aur jo Bando Apne se Doosre ko Deen me Kam tar paye aur Dunya me Aala paye phir wo us per Apni chooti huve Dunya ki Nemato per Afsos kare to Allah usko Shakir wa Sabir Bando me Shamil nahi karega.
(Vol/2,Hadees No :2701),
Dars : Deen e islam ne hame yahi taleem di ke Bandah e Momin ki Haqeeqi Zindagi Akhirat me hai,aur ye Dunya ki zindagi waqti wa Aarzi hi hai,lehaza jab wo Deen ke kaamo aur Taleem me doosre ko Aala paye to us per Hasad etc..ke bajaye Uski iqteda karle to Nek Amal ke saath Sabir bando me bhi shamil hojayega aur dunya ki Nemato me apne ko aala paye to us per Allah ka Shukr karle kyu ke ye Nemate Aarzi hi hoti hain,inki koi gurantee nahi aaj hamare paas to kal kisi aur ke paas..lehaza shukr karne per Nemato me mazeed izafah hi hota hai,kami Nahi..
●● Phir jab Deeni kaamo me Aala ho aur Dunya me kuch ziyadah na ho to in halat me shukr ke bajaye Afsos kare to phir Allah usko Sabir wa Shakir bando me Nahi shamil karega…
☆☆ Yaad rahe ke Shukr aur Sabr ka Badlah “JANNAT” hai.
Allah hame Sabr wa Shukr karne walo me banaye..Ameen ya rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like