DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 793,Hadees No :2705,*

Hazrat Anas Bin Maik
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Us Waqt tak kamil Momin Nahi Hosakte ho Jab tak ke Tum jo Apne liye Pasand karte ho wahi Apne Bhai Keliye bhi Pasand karo.
(Vol/2,Hadees No :2705),
Dars : Kalimah padhne se Bandah Momin hojata hai,lekin Eiman me Kamal Hasil karna ho to Bandeh ko Eimani Taqazeh bhi pure karne hote hain,to Jab Bandah Eiman ke Aaqayidi wa Tahzeebi taqaze pure karleta hai,phir wo Kamil Momin hojata hai,jisme se Apne liye jo Faidah Mand cheez insaan fitri taqaze ke tahet pasand karta hai,wahi wo apne doosre Momin Bhai keliye Pasand kare jisme Dono keliye Bhalayi hai,
■■ Umooman Bandah Apne Se Choot kar doosro ko Hasil hone wali cheez me aur usme Doosro ko hasil hone wale faideh me kuch Bada Noqsan hone ko tasawwur karleta hai,jo ke Bohat hi Kam Zahni ki Baat hoti hai,jis se bandah tahni tanavo me aajata hai,lehaza usko ye samjhe ke Doosro ko faidah dene wala Allah hai,aur ye Usme Sabab bana hai,to insha Allah Allah dono ko faideh se nawazega.
Allah hame is per Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site …
www.anwaarulislam,com.

You might also like