DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 794,Hadees No :2706,*

Hazrat ibne Abbas
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mai tumhe Chand Baate Batata hoon,usko tum yaad rakhlo jis se tumhari murad puri hogi wo ye ke jab se tumhe Kuch Maangne ki zaroorat ho to Allah se Maango aur kuch madad ki zaroorat ho to wo bhi Allah se Maango kyu ke Agar Saari Dunya ke Log milkar tumhe kisi cheez ka faidah ya Noqsan dena chahe to wo Wahi Faidah ya Noqsan tumhe denge jo Allah ne tumhare Muqaddar me likha hai,kyu ke Taqdeere Likhi ja chuki hain,aur Taqdeer ki kitabe Band hochuki hain.
(Vol/2,Hadees No :2706),
Dars: Bandeh ki zindagi me kabhi khush hali hoti hai,to kabhi gham hota hai,to in dono Halaat me bhi Allah ke faislo se Raazi rahna hai,koi ye Sab kuch dene wali zaat Allah hai,aur Razzaq wa Khaliq hai,usi ke hukm se har cheez banti aur Sudharti hai,aur wahi mukhtar e kul hai,lehaza jab bhi kuch maangna pade to Allah se kamil yaqeen ke saath maangna hai,Allah bandeh ke maangne ko kabhi radd nahi karta hai,use khali Haath Nahi lauta ta hai,aur Madad bhi maangna ho to Allah se maangna hai,aur apne aapko zikro Azkaar aur Namazo se paband bana kar dua kare to Allah dua qubool aur madad zaroor karega,
●● Ab Rahi Baat Allah ke Nek Bando yani Awliya Allah ko Waseelah Bana kar Madad maange to uski bhi ijazat hai,ye koi Shirk waghairah Nahi hai,kyu ke Awliya Allah ki bhi taqat wa qudrat Allah ki hi ata ki huvi hai,us se bhi Allah ki Badayi hoti hai,lekin maangne me ehtiyati Alfaz istemal kare ke Dene wali Zaat Allah hi hai,baaqi Asbaab aur waseeleh hain.
■■ Taqdeer ke Har faisleh per Raazi hona Eiman me se hai,warna taqdeer ka inkar kufrtak lejata hai..!!
Allah hame Taqdeer per Kamil yaqeen rakhne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site ..
www.anwaarulislam,com.

You might also like