DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 796,Hadees No :2708,*

Hazrat Hasan Bin Ali
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Shak me Daalne wali Cheezo ko Yaqeen wali Cheezo ke Hawale kardo,kyu ke Sacchayi “Yaqeen” hoti hai,aur Jhoot “Shak”ka sabab banta hai.
(Vol/2,Hadees No :2708),
Dars : Dunya ke Har Moamleh agar Sacchai ko apnaye to Wo Kaam Dili sukoon,aur Kamiyab nateejeh rak pahonchta hai,aur wo kisi bhi shak ki wajah nahi banta hai,aur ye Nekiyo me mazeed izafah bhi karta hai,jabke Jhoot Dil se Sukoon cheen leta hai,aur Chahreh se Noor bhi khatam kardeta hai,saath me Gunah aur Nakami Anjam hoti hai,
Lehaza hame Sacchayi ko apnana hai,aur jhoot se door rahna hai.
Allah hame Har Shak wali cheez se aur jhoot mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like