DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 810,Hadees No :2733,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sab se Pahle Jo Qafilah Jannat me Jayega unke Chahreh Chand ki Tarah Roushan honge,unki Chamak me kisi Qisam ki Kami Nahi hogi,Unkeliye Jannat me Bartan aur Chamach(spoons) Sone,Chandi aur Motiyo ke honge,Unper Mushk ki khushboo mahkegi,Har Ek Jannati keliye Kam se kam 2 Biviya(Hoor) hongi,Wo Bohat hi Haseen hogi,Wo Tamam Jannati Apas me koi Ikhtelaf Nahi karenge,aur Na hi unme koi Boghz hoga,Har Ek Ka Dil Subah wa Sham Allah ki Taseeh me Masroof hoga.
(Vol/2,Hadees No:2733)
Dars : Jo Log Dunya me Paak wa Saaf Dil hote hain,Aur Dunya me jo Hamesha Allah ke Zikr me Mashghool rahte hain to Allah inko Akhirat me bhi isi tarah Apni Nemato se Nawazne ke Saath Saath Apne Zikr ko unke Seeno me daal deta hai,jiska Wird wo Subah wa Sham karte rahte hai,aur Rabb ki Nemato se lutf Andoz bhi hote rahte hain.
Allah hame Dunya me Paak Dil wa Shaffaf Jism wa Zuban wala Bankar zindagi guzarne wala banaye. Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like