DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 819,Hadees No :2743,*

Hazrat Abu Buraidah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:
Jannati Logo ki 120 Saff (one Hundred Twenty lines) hongi unme se 80 Saffe Mohammed Mustafa (Sallallahualihiwasallam) ke Ummmat ki hongi Baaqi Doosre Saare Nabiyo ke Ummat ki hongi.
(Vol/2,Hadees, No :2743),
Dars : Subhan Allah to Jannat me Sab se Ziyadah Jane wale log Ummate Mohammadiyyah Sallallahualihiwasallam hi hongi, Qurban jaye Aaqa e Do jahan ke is faiz per ke farsh per bhi Aapke Sadqeh izzate mili aur Arsh per bhi aap hi ke sadqeh izzato ke saath Nemat e Jannat bhi Naseeb hongi,
“Ye Karam Nahi hai,to Phir Aur kiya hai”
Bus Ham Momineen ko us Saff me shamil hone keliye Deen e islam ke Ahkamaat ko Ache Andaaz me ada bhi karne honge,aur Rabb ke fazl wa Taufeeq ki bhi dua karte rahna hai,warna Saff me Shamil hona mushkil hojayega..
■■ 120 Saffo ka matlab wo Bohat Badi hongi unki Lambayi etc..ka hisab Bando se karna Mushkil hoga,yani Be shumar log Allah ke fazal se jannat me jayenge,Jabke Ummate Muhammadiyah Tedad me doosre Nabiyo ki ummat se ziyadah hongi. 
Allah hame bhi un saff walo me shamil kare, Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam, com.

You might also like