DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 693,Hadees No :2575,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Allah kisi Bandeh se Bahalayi ka Iradah rakhte hai,to Usko Dunya me hi (uske Gunaho ke badleh) Saza dete hain,aur Jis bandeh se Bhalayi ka iradah Na ho to uske Gunaho ka azab Akhirat me dete hain.
(Vol/2,Hadees No :2575),
Dars : Dunya ki Saza aur Azab Beemariyo aur mushkilo ki shakal me hote hai,aur ye Akhirat ke Azab ke Muqabil Bohat kam hi hote hai,jabke Akhirat me Azab aur saza badi sakht hoti hai,us se bachna bhi Na mumkim hojata hai,jabke dunya me Nek kaam Azab ke tal jane me sabab bhi ban sakta hai,kyu ke Dunya Darul Amal hai..!!
■■ jab kisi per Koi Museebat ya Pareshani Ajaye to us per Sabr aur Shukr karna chahiye ke Allah ne Akhirat ke Azab aur saza ko is choti se Mushkil wa Museebat ki shakal me door kardiya hai.
Allah hame Akhirat ke azab aur Saza se mahfooz kare aur Har bure kaam se door rakhe..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site ..
www.anwaarulislam,com.

You might also like