DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 694,Hadees No :2576,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jitni badi Museebat hogi to Uski Jaza(Badlah) bhi utni hi badi hogi,Beshak Allah jis Qaum se Mohabbat karta hai,to Usko Museebato se azmata hai,Bus jo us se Raazi raha to Allah bhi us se Raazi hoga aur Jo Na Raaz raha to Allah bhi us se Na Raaz hoga.
(Vol/2,Hadees No :2576),
Dars : Bandah ye Baat zahen me rakhna chahiye ke Har Khushi wa Museebat Allah ki janib se hoti hai,bus wo uske Mauqeh per Bandeh per Nazil hoti hai,
Khusi bandeh ko shukr ki taraf isharah karti hai,jo khusi me shukr baja laye to uske liye Nemato me izafah hoga aur Museebat Sabr ki taleem deti hai,jo Museebat me sabr karega aur us per Raazi rahega to Alkah bhi us se Raazi rahega aur jis se Allah raazi rahega to uska Tikhana Jannat hoga..
●● Jo Khusi Aur Museebato ko Allah ki taraf hone per Kamil Yaqeen Na rakhenge to Wo Hamesha Shak aur Shubeh me zindagi guzarenge kabhi iske paas to kabhi uske paas,jiski wajah se Wo Batil Tawahhumaat me pad jayenge,jiski wajah se Eiman me aur bhi kamzori ajayegi,aur jo Bandah Allah per kamil yaqeen rakhega aur Har cheez ko Allah ki Janib se hone per Yaqeen rakhega to uska Eiman Mazeed Noor se Aarastah hoga aur wo Har jagah kamiyab hoga..Insha Allah.
Allah hame Har Haal me Allah se raazi rahne wala Banaye..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like