DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 695,Hadees No :2578,

Hazrat Mus’ab Bin Saad (raziyallahuanhu) apne walid se rivayat kiye hai,kaha,Maine kaha ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) sab se ziyadah kis per Museebate Aati hai ? To Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ke Nabiyo per,phir Unka Kaam karne walo(Ulama e kiram) per ziyadah museebate aati hain,Jo Shaks apne Deen me jitna Sakht hoga utni hi ziyadah Museebate ayengi aur jo jitna Kamzor hoga utni hi thodi museebate ayengi,lekin Ye Museebate aakar Bando ko unke har Gunaho se Paak karti hain.
(Vol/2,Hadees No :2578),
Dars : Allah ke Har Nabi aur Har Deen ka Kaam krne wala jaise Ulama e kiram ye sab Allah ke mahboob hote hain,aur Jo Allah ka Mahboob hota hai,Allah unko Museebato se Aazmata hai,aur unko Dunya me hi Har Chote aur Bade Gunaho se Paak karta hai,
●● Allah ki Azmayish waqti aur Gunaho se paak karne keliye hoti hai,lekin Baaz Log Ulama e kiram aur Huffaz e kiram ko Satane aur Apne Charb Zubani se unko Neecha dikhane ki koshish me lage rahte hai,jaise ke
Agar koi Aalim e Deen khalis Deen ki khidmat me laga rahe aur kuch Acha khaye aur Pahne to kahne lag jate hain,ke Aalim saheb Chandeh(Donations) khane shuru kardiye…
Allahu Akbar kabeera..
Aur agar wo Deen ka Kaam karte huve kuch Dunyavi Tijarat ya Mulazimat bhi kare to kahne lag jate hain,ke Aalim saheb ko Dunya ki Badi Hirs hai,Ya Dunya Daar hai..etc…(Bekaar ki Baate) kahne lag jate hai,
Aur Masjid ke Committee ke ziyadah tar Members shayad Qasam khakar hi Mansab per baith te honge ke hum jab tak rahnege “IMAM AUR MOAZZAN KI TANKHAAH” Nahi badhayenge..
(La Haula Wala Quvvata illa Billah)
Taake wo Hamesha Dunyavi museebato me ghire rahe,jabke Har tarah ki Maali Sahoolate hoti hai,Yaad rahe ayse logo ki sakht girift hogi,
Ye bhi Yaad rakhe ke yahi wajah se aaj Jayyid Ulama e kiram Imamat ke Mansab se door rah rahe hai,iski Zimahdaar qaum hi hai,kyu ke Ulama e kiram apni zindagi ka Sara hissah deen me lagar kar Qaum ke saamne aye hai,to ab Qaum per unki Ahmiyyat wa Azmaat,Qadr jaan ne ki zaroorat hai
Aur is tarah Qaum ka Ulama e kiram ko Aazmane ka koi Haq Nahi hai.
Allah hame Sahi Raasteh per Amal ki taufeeq Naseeb farma..
Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like