DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 696,Hadees No :2579,

Hazrat Mus’ab Bin Saad (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Momin Badah aur Momin Bandi per Marte Dum tak Unki Jaan,Maal aur Aulaad per Museebat aati rahegi Yaha tak Wo Gunah se paak hojayenge.
(Vol/2,Hadees No :2579),
Dars : Momin Bandah ho ke Momin Bandi jab tak wo Zindah hai,un per Kisi Na kisi Shakal me Bala aur Mussebat ayegi,jis se Allah unke Gunaho ko Baksh deta hai,taake Apne Bando ko Akhirat me dard Naak saza se mahfooz karsake to is lehaz se Museebat bhi Allah ki ek Rahmat hi hai,phir bando ko Museebato per Gila Shikwah Nahi balke apne Rabb ka Shukr baja lana hai,
■■ Kisi Ko museebat me dekh kar kabhi khush Nahi hona hai,Balke Museebat Zadah shaks ki apni Taqat ke muvafaq Madad karna hai,kyu ke Museebat Hum per bhi kabhi bhi aasakti hai.
Allah hum sabko Apni Rahmat me Hamesha rakhe..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like