DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 697,Hadees No :2580,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ne irshad farmaya ke Jab Mai Mere Bandeh ki 2 Aankhe leta hoon to uske Badleh usko Akhirat me Jannat Naseeb karta hoon.
(Vol/2,Hadees No :2580),
Dars : Insaan ke ahem Aaza(Parts) me se Sab se Ahem Aazu uski Aankh hain,agar wo salamat rahe to Bandah Rabb ki Banayi huvi Makhlooq aur uske Nazaro ka deedar karsakta hai,jis apne Eiman me mazeed taazgi paida karsakta hai,
●● Baaz logo ki Aankhe Paidayishi taur per hi nahi rahti hain,aur Baaz logo ki aankhe kisi wajah se baad me chali jati hain,to har dono ka Badlah Allah Jannat ata karta hai,
Aur Agar koi Zabardasti Aankho ki Beenayi khatam karle to wo Na shukro me shumar honge aur unki Jaza Nahi balke Saza di jayegi..!!
■■ Jinke Paas Aankhe hain,to Wo Rabb ka shukr baja laye aur Allah ke Kalam(Quran e Kareem) ki rozanah tilawat karte rahe to Aankho ki Beenayi ko taqat milegi aur Aankhe salamat rahengi,aur un Aankho ko Buri aur Be Haya ki Cheezo ke dekhne se mahfooz bhi karna hai,warna Bad Nigahi se Ghar se Barkat aur Akhirat me Gunaho ki Maghfirat dono chin jati hain.
Allah hame Aankho ki Shukr Guzari karne aur Buri Nazar se Bachne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like