DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 698,Hadees No :2581,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ne farmaya :Jab kisi ki Aankho ki Roushni leleta hoon,aur wo Us per Sabr kare aur usko Apni Taqdeer me se samjhe to usko Meri Razamandi ke saath Jannat me Dakhil karunga.
(Vol/2,Hadees No :2581),
Dars : Aankhe ayse Badi Nemate hain,ke agar unki Ahmiyyat jaan n i ho to Andhe logo se mulaqat karke malum kare to pata chalega,aur aankhe hi ayse Nemate hai,ke jis se kisi Buzrug Cheeze jaise Kabatullah,Quran e kareem etc.. ko dekhe bhi le to Ibadat ka sawab diya jata hai,
Allahu Kabar Kabeera..
●● Achi Cheezo ko dekhe to Akhirat me Achayi aur Buri Cheeze Dekhe to Dunya me Chahreh se Noor khatam hoga aur Akhirat me Azab..!!
■■ Baaz log Akhirat me bhi andhe honge aur wo,Wo log hain,jo dunya me Allah ke zikr ko chode huve honge to Allah unko Akhirat me Andha bana dega jabke wo dunya me sab kuch dekh sakte the,lekin unke Bure Aamal ki sabab Akhirat me andhe hojayenge..!!
Allah hame Do jahan me Aankho ki Nemat per Dayim rakhe..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like