DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 704,Hadees No :2590,

Hazrat Sahal Bin Sa’ad (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Apni Zuban aur Satar(Sharamgah) ke Hifazat ki Zamanat dega to Mai use Jannat ki Zamanat dunga.
(Vol/2,Hadees No :2590),
Dars : Zuban ka Talluq Bandeh Akhlaaq se hota hai,aur Satar ka Ta’alluq Bandeh ke kirdar se hota hai,to Jab Zuban me kharabi ajaye to Bandah Bad Akhlaaq hojata hai,aur Jab Satar me Kharabi Ajaye to Bandah Bad Kirdar hojata hai,
Jabke Deen e islam me Husne Akhlaaq aur Husne Kirdar ki itni Ahmiyyat hai,ke Jo in dono ka Khayal rakhega to Allah usko “Jannati” Banadega..!!
Bus Jo bandah islami Taleemat per Chalega to Ye 2 Nemate aur Sifate usko Naseeb hojayengi aur jo islami Taleemat ko chodega aur Doosre Dunya ke logo ki Baato ko apnayega to Wo Dunya wa Akhirat me Zaleel hoga aur Akhirat me “Jahannami” bhi hoga.
Allah hame Husne Akhlaaq wa Husne kirdar se Nawaze..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like