DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 740,Hadees No :2643,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan Budha hojayega lekin 2 Cheeze 1) Maal me Hirs 2) Umr(age) me Hirs usme Jawan hi hote rahti hain.
(Vol/2,Hadees No :2643),
Dars : Insaai badan ke etebar insaani jism ko to kabhi Na kabhi zaroor budha hona hi hai,aur uski taqat khatam honi hai,to ab bandeh ko us jism per Na Fakhr karna hai,aur Na hi takabbur aur insaani Jism kisi bhi tareeqeh se Numayish ki cheez bhi nahi hai,usko Makhlooq keliye Nahi balke Rabb ki ibadat aur uske Ahkamaat me masroof rakhna hai,
■■ Maal aur Jawani ki Hirs bandeh me ziyadah hi hone lagti hai,kyu ke jab Bandah Maal kamane lage to usko wo Mazeed ziyadah karne me lag jayega aur doosro se muqableh ki fikr me Deen bhool jayega uska sab kuch Maal hi hoga,Raat Din uski Hifazat aur Investing me zahen laga rahega,to jab Maal ajaye to usko khud per kharch marne aur uske mazeh lene keliye to khud ko bhi to zindah rahna padega to ab uski fikr umr me ziyadati per hi hogi,jabke wo usko Badha Nahi sakega..!!
To Bandeh ko chahiye ke Maal apni Zaroorat ke muwafaq hi Rakhe to ziyadah behter hoga.
Allah hame Har Lamha Rabb ki Raza me guzarne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like