DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 741,Hadees No :2644,*

Hazrat Mutarrif Bin Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan ka Haal ye hota hai,ke Uske Paas 99 Tammanaye (Khahishe) hoti hain,Agar un me se 1 bhi Tamannah Choot jaye to Wo Boodha hone lag jata hai.
(Vol/2,Hadees No :2644),
Dars : Insaan ki ye Adat hoti hai,ke wo Khahishe ziyadah dil me Basa leta hai,jo Har khahish ke Pura hone ki bhi tamannah rakhta hai,Agar uski khahishe ex..98 bhi hojaye aur 1 bhi baaqi rah jaye to wo 98 ki taraf se tawajjuh hata deta hai,aur sirf 1 Na mukammal khahish ke Na pure hone per Fikar mand hojata hai…!!
Lekin Deen e islam Hame ye Taleem deta hai,ke Had se ziyadah khahisho ka khab na dekhe Balke Nek Aamal aur Akhirat me kamiyabi dene wali baato wa Kaamo ka sonche aur unko Pura karne keliye Allah se taufeeq maangte huve Koshish bhi kare to Allah Zaroor kamiyabi Naseeb karega insha Allah.
■■ Islami Bunyadi Akhlaaq me ye hai,ke Bandah Har Choti si khahish ke pura hone per Shukr baja laye jis se Allah Mazeed Barkat dega aur Na shukri se Bache warna Allah Azab me mubtala karega,
Maujoodah Cheez pe Khush hona bhi Ek Nemat hai,jo Shukr Guzar bando ko hi Naseeb hoti hai.
Allah hame Shkareen Bando me Shamil kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like