DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 742,Hadees No :2645,*

Hazrat Ubay Bin ka’ab (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Jab Raat ka teesra Hissah guzar jata to Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Sab se farmate ke : Allah Ka zikr kasrat karo Kyu ke Maut Aane wali hai,to aapne kaha Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Mai Aap per Rozanah Durood padhta hoon,to kiya mai Din ka Chauta Hissah bhi aap per Durood Padhu ? To apne farmaya Agar Tum Chaho to Kuch izafah karlo tumhare liye behter hoga,to Raavi ne kaha Din ka Aadha Hissah padhu to apne kaha agar chaho to Izafah karlo to Raavi ne kaha Din ke Teen Hisseh bhi Durood padhu to apne kaha Agar Chaho to izafah karlo to apne kaha Saara Din aap per Durood padhra rahunga to Aap ne farmaya : Ab Tumhari Murad bhi Puri hogi aur Tumhare Gunah bhi Maaf honge.
(Vol/2,Hadees No :2645),
Dars : Ye Tha Sahaba e kiram ka Aqeedah ke Har Lamha Durood e paak padhne ko Azeem ibadat samajhte aur Nabi e Kareem Sallallahualihiwasallam bhi us Amal per Murado ko puri hone aur Gunaho se Bakhshish ki Zamanat bhi derahe hain,lehaza Har Dard ki Dawa hai * Salle Ala Mohammed*
■■ To Hame Ye Jaan lena Chahiye ke Har Ibadat ki Azmat apni jagah Bar Haq hai,to Allah ka Zikr bhi karna hai,aur Durood e Paak bhi padhna hai.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site ..
www.anwaarulislam,com.

You might also like