DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 922/ HADEES NO :2876
Hazrat Sayyiduna Miqdad Bin Maadikarab Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Suno Ek Aysa Shaks bhi hoga Jo apne Masnad(sofa) PER tel lagaye baitha huva hoga to jab uske Paas meri Hadees Aaye to wo kahega ke : Hamare aur tumhare Darmiyan QURAN hai,to Jo Cheez Quran me Hum Halal Paye to usko Halal samjhenge aur Jo Cheez Haram Paye to usko Haram Samjhenge aur kahega ke Allah ne jis tarah Cheezo ko Haram kiya hai,Rasoolullah sallallahualihiwasallam ne us tarah Haram Nahi kiya (Nawuzu Billah Min zalik).
(Jamiut Tirmizi, Vol 2,Hadees No:2876),
Dars : Ye Jamat yani Firqah “AHLE QURAN” ka Naam se hai,Jo Apni Har Baat wa Kaam ko Quran ki Roushni me karne ka Dawa karti hai,Jab ke wi is wajah se Hadees ka Inkaar karte hain,aur Nabi e Akram sallallahualihiwasallam ki Shaan me gustakhiya karte hain,aur Hadees ka Mazaq update hai..!!! Allah aysi Batil WA Gumrah Jamat se hamare Naujawano ki hifazat farma..Ameen,
●○ Islami Ahkamaat ka daro madar aur unke dalayil 4 cheezo se Hasil hoti hai,
1) Quran e Kareem
2) Hadees e shareef
3) Ijmaye Ummat
4) Qiyas (yani uper ke 3 Cheezo ki Roushni me Mujtahid masaayil ka hal karte hai),
To ye 4 cheeze Ahem hai,in sabko maan Na eiman me se hai,aur un me se kisi ka bhi inkaar dairah e islam se kharij kardeta hai,jabke Baaz ulama e Kiram ke Paas Qiyas ke baare me ikhtelaf hai.
Allah hame Islami Har Daleel wa Usool ko Maan me wala Banaye aur Sarkashi wa Gumrahi se mahfooz rakhe..Ameen.
For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.
?WRITTEN BY:-
MUFTI RAHMATULLAH QADRI
(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).