DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 923/ HADEES NO :2877

Hazrat Sayyiduna Abu Saeed khudri Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: Hum ne RASOOLULLAH ﷺ se (ILM) ko Likhne ki ijazat Talab ki to aapn ne hame likhne ki ijazat Nahi di.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2877),

Dars : Ye Hukm ibtedae islam ka hai, ke us waqt ILM ko likhne ke ziyadah Asbab nahi the,aur likhi huvi Cheezo ko hifazat aur usko Amanat Dari se Doosro tak pahonchana etc..Kayi Masaayil wa Dushwariya the to aap ne us lehaz se Ilmi cheezo wa baato ko likhne se mana farmaya tha,lekin Baad me ILM ko likhne ki ijazat diye hai,aur usko Ache Andaaz me doosro tak pahonchane ke bhi hukm farmaya.

Allah hame ILM ko Har andaaz me mahfooz rakhne wala banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like