DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 924/ HADEES NO :2878

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: Ek Ansari Shaks Nabi e Akram ﷺ ki Majlis me Baithte aur Aap Se Hadees sunte to Aapko Hadees Achi lagti,lekin wo usko Yaad Nahi rakh pa rahe to wo Aap Sallallahualihiwasallam se Arz kiya YA Rasoolullah sallallahualihiwasallam Main Aap se Hadeese sunta hoon to Bohat Acha lagta hai,lekin Mai usko Yaad Nahi karsak raha hoon,to aap ne farmaya: Apne Haath se Madad lo,Phir aapne Khat (writing) ki taraf isharah farmaya.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2878),

Dars : Deen islam me ILM hasil karne ke saath saath us ILM ko Mahfoo karne ki bhi taleem deta hai,ILM ke hifazati Asbaab me se we sabab wa zariyah KITABATH(WRITING) bhi hai,jis se ILM Mahfoo rahta hai,chahe wo Tafseer ho ya Hadees Har ILM ko mahfooz karne ka zariyah KITABE(BOOKS) hai,jis se Hamari Aane wali Naslo keliye Bohat Faidah bhi hoga aur ILM Mahfooz bhi rahega,

■■ Hamare Aslaaf wa Ulama e kiram ne ILM ko kitabi shaial dene ki wajah se hu aaj ILM Mahfooz raha hai,Jab ke Mangol Zalimo ne to Deeni kitabo ko Daryae Furaat me Baha kar Deeni ILM ko khatam karna chaha lekin Allah ke fazl wo Karam se Ulama e Haq ne phir ILM ko kitabo me mahfooz kiya to unki Qurabaniyo wa mehnato ke Nateejeh me ILM E Deen wa Akhlaaqi umoor ko Samajhna Naseeb huva,

●● Jabke Allah ne Kitabat(writing) ki fazeelat wa Ahmiyyat batane keliye Quran me Qalam(pen) ki Qasam kha kar farmaya ن والقلم وما يسطرون

Ye Ahmiyyat banana maqsood hai,ke Qalam wa Kitabat se musalman Dunya me taraqqi aur Akhirat me Najat pa sakte hain.

Allah hame ILM ko Kitabi Shakal me karne ya un kaamo me apne Maal wa Jaan se Khidmaat karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com .

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like