DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : JANAZAH, DAY : 225,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) Madeenah Ke Qabrastan Ke Paas se Guzre to Aap ne Uski Taraf Apna Rukhe Zeba(Face) Karke farmaye :
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ يَا أَهْلَ الْقُبُورِ يَغْفِرُ اللَّهُ لَنَا وَلَكُمْ أَنْتُمْ سَلَفُنَا وَنَحْنُ بِالأَثَرِ)).
(ASSALAMUALIKUM YA AHLAL QUBOOR YAGHFIRULLAHU LANA WA LAKUM ANTUM SALAFUNA WA NAHNU BIL ASAR).
(Vol/1,H,No :1073),
Dars : Is Hadees e Paak se Kayi Baate wazeh hoti hain,jin me se Baaz ye ke :
■■ Qabro ki Ziyarat karna “SUNNAT” hai,
●● Qabrastan me Ahle qabro se Lafz “YA AHLAL QUBOOR” Yani Arabic Grammar ke lehaz se Harf e Nida bhi istemal karsakte hain,
☆☆ Marhumeen keliye Dua e Maghfirat Bara e Eisal e sawab padhna hai,
■■ Ulama e Kiram farmate hain,ke Qabrastan me Surah YASEEN ya 3 Baar Surah Ikhlas(Qul Huvallahu Ahad…) ya Quran ki Tilawat karke Marhumeen ko uska sawab pahonchana behter hai,kyu ke us ki Barkat se un per Allah ki Rahmat Nazil hoti hai,
Allah Saare Marhumeen ki Maghfirat Farma..Ameen.

You might also like