DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 341,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Laisan,Piyaz,aur us jaise cheeze khaye to wo Hamari Masjid ke qareeb Bhi Na aaye…!!
(Vol/2,H,No :1919),
Dars :Ye Baat wazeh rahe ke Shareeat me Laisan aur Piyaz khana *HALAL* hai,
Ab jo Hadees e paak me aya hai,ke Jo ye cheezeh khaye to wo hamari masjid ke qareeb na aye..?
Jawab :Jo Laisan ya Piyaz ko Baghair cheez jaise..Namak,Mirchi etc ke mile huve ya Ya wo kisi salan me milaye baghair khalis unko khale to Ab uske khalis khalene ki wajah se Moo(mouth) se ek qisam ki Bad Boo(Bad Smell) aati hai,Jabke Bad Boo se Rahmat ke farishteh door hojate hai,to isliye inke khalis khalene walo ko Masjid ke qareeb aane se roka gaya hai,
●● Laisan ya Piyaz ki Boo(smell) se farishto aur Saath Namaz padhne walo ko bhi takleef hoti hai,aur unka Khushoo bhi Namaz se jata rahega…!!
■■ Agar Piyaz aur Laisan ko Salan ya kisi cheez ke saath milakar khale to ab uski Bad boo nahi aati hai,to ayse shaks ko Masjid me aane ki ijazat hai.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like