DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 342,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Raat me Sone se Pahle Darwazah(door) band karlo,Paani aur Khane ki Bartan per Dhakkan Rakh do,aur Charagh(light) Bujhado,Yaad rakho ke Shaitan Na Darwazah khol sakta hai,aur Na hi Khane aur Paani se Dhakkan hata sakta hai,lekin Ek Chota sa Chooha(rat) wo saare Jala sakta hai.
(Vol/2,H,No :1925),
Dars :Is hadees e paak me Sone se qabl ya Har waqt Insaan ko ehtiyat se rahne ki taleem di hai,
●● Darwazah Band karne me Chor,Janwar aur ghairo ke Dakhil hone se Ghar aur gharwalo ki hifazat hoti hai,
■■ Khane aur Bartan ki cheezo ko band karne se Keedo ke usme girne se Insaan ke Sehat ki hifazat hoti hai,
●● Charagh Bhujana :Agar Charagh Tail(oil) se jalta ho agar usko ek chota sa chooha bhi gira de to hosakta hai,ke us se Saara ghar hi jal jaye,Aur agar light Electric ho to usko bhi Band kardena hai,kyu ke us se Gharwale baher walo ko aasani se Nazar ajate hai,jisme Ghar ki izaat ki Be izzati hojayegi,aur Isme Israaf bhi hota hai,ke Koi Sokar(sleeping) Light ko use bhi Nahi karta hai,isliye charagh ya light ko band karne ka hukm diya gaya hai,
■■ Ek Ahem Baat ye ke ,Shaitan itna kamzor hota hai,ke wo Ek mamooli Darwaza,Dhakkan,aur Charagh ko bhi harkat Nahi karsakta hai..!!!!!
Lehaza *Bandah Shaitan e Rajeem se Nahi Balke Allah Rahman wa Raheem se Dare aur gunaho se bache*..
Allah hame hifazati Niskho per Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like