DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 340,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasoool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Yaqeenan Barkat Khane ke Darmiyani Hisseh me Nazil hoti hai,lehaza Khana Bartan ke kinareh ke Hisseh se khaya karo Darmiyani se Mat khaya karo.
(Vol/2,H,No :1918),
Dars :Saari Dunya me Islami Tahzeeb wa Taleem ki Anokhe khusoosiyaat hain jo sabkeliye Faidahmand hain,aur,jinse Aaj Saare Insaan Muta’assir hain,unhi me se Khaane ke Aadab bhi hain,
●● Ulama e kiram Ne Kaha,Barkat utarti hai,ka matlab,Jab ek musalman Allaha ka Naam lekar khana shuru karta hai,to Aasman se Rahmat ke farishteh utar kar *BARKAT* ki Dua karte hai,to us waqt Barkat uske darmiyani Hisseh me utarti hai,
■■ Jo Barkat Darmaiyan me utarti hai,to wo Bartan ke doosre hisso me Aasani se pahel jati hai,isliye Darmiyan me utartne ki ye hikmat batayi gayi hai,
☆☆ Bartan ke Kinareh se khaye to To khane ka Andazah aur doosre saath khane wale ko sahoolat bhi hojati hai,aur Khane ki doosri cheezo ko bhi Apne muwafaq istemal karsakte hain.
Allah hame sunnat ke mutabiq khane ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like