DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 358,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Tumhara Khidmat Guzar tumhare liye khana banaye aur uskeliye Chulhe ki garmi aur Dhuve ko bardasht kare to tumhe chahiye ke Uska Haath pakad kar usko apne saath khane me shareek karle agar wo inkar kare to usko Apne Haatho se Khana khilaye.
(Vol/2,H,No :1972),
Dars : Ye Deeni Akhlaaq hai,aur Deen e islam ki Haqqaniyat hai,ke jo Khadimo ko unka Haq dilvata hai,aur unki Izzat wa Ehteram ki taleem deta hai,ke Khadim ko sirf khadim ki hi Nazar se Nahi balke Ek Insaan ki Haisiyat se bhi dekha jaye,
●● Jab Khana banane wale ki itni Ahmiyyat ho to phir Ghar me Maa jo Bacho keliye Saari Zindagi Khane aur Tarbiyat ka khayal rakhti hai,to phir Us Hasti ki Ahmiyyat wa Ehteram ka Darjah kiya hoga …!!!
Jisko hum Alfaaz me Bayan hi Nahi karsakte hain,
●● Aur Is zumreh me Wo Nek Bivi bhi Shamil hoti hai,Jo Shohar ki Khidmat ko apne Dil me Aqeedat ka Darjah deti ho aur Khush dili se Shohar keliye khane ka ehtemam karti ho to shohar ko bhi chahiye ke Bivi ki Ache Alfaaz se Himmat afzayi kare,aur Bivi ka jo Haq hai,wo usko ada karne me Na insaafi bhi na kare warna qiyamat me uski bhi pooch hogi..!!
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like