DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 359,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,

Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah Rahman ki Ibadat karo,Khana Khilavo,aur Salam ko Aam karo to phir Tum Salamati ke Saath Jannat me Dakhil hojavoge.
(Vol/2,H,No :1674),
Dars : Is Hadees e paak me
Subhan Allah Insaan ke Saare Zindagi ke Marhalo ke Sirf 3 Jumlo me Wazahat farmadi hai,
Isaan ke Deeni,Tahzeebi Wa Akhlaaqi pahlo ki taleem di gayi hai,Jo In Marahlo me Kamiyab hojayega to Wo Jannat bhi Aasani se hasil karlega,Insha Allah,
●● Rahman ki Ibadat : Ye To Bandeh ki Hayat wa Zindagi ka Ahem Maqsad hai,Jo Allah ki Ibadat wa Ahkamaat ka paband rahega,to Wo Saari Zindagi Rahat,Izzat aur Barkat me Zindagi Basar karega aur Jo Allah ki Ibadat wa Hukm ko chod dega to Allah us ko Zaleel wa 2 Jahan me Ruswa karega..Jis ki Misal Aaj hum Apni hi lesakte hai,ke Aaj Baaz Musalman Allah ki ibadat aur uske Saamne Jhukne (sajdah) karne ko Bhool gaye hai,to Har kisi ke Saamne Jhukna aur Zaleel hona padh raha hai,Ab kaam yahi Baaqi rah gaya hai,ke Allah Rahman ki Ibadat chod diye,Bus Insaan ki Shikayat le baithe hai,koi Mqasad Nahi…
Bus Kabhi wo Hukoomat se dare aur kabhi ye ….. kabhi kisi Issue ko apni topic bana lekar baith gaye,Ya Apasi Maslo me Ulajh gaye….Koi Mehnat Nahi koi Taleemi me dil chaspi Nahi koi maqsad bhi Nahi ..Allahu Akbar Kabeera…
Allah khair kare…
●● Allah jab kisi ko Maal se Nawaze to chahiye ke us Maal ke kuch Hissah me Ghareeb ko bhi Shamil karle Usko Khana khilade ya Maali Madad karde to Allah uske Maal me Barkat ata kare ga Shart ye hai,ke Kisi Ghareeb ko khana khilakar ya madad karke Dhikava Na kare warna Barkat ke Bajaye Aakhirat me Riyakari ki Saza milegi….!!
●● Salam : Deen e islam me Salam hi ek aysa Amal hai,Jo Dil se Boghz wa Dushmani ko Khatam kardeta hai,aur Apasi Mohabbat paida kardeta hai,Ajnabi ko Apna Banadeta hai,aur Dushman ko Dost…
Aur Jo Pahle Salam karta hai,to Allah uske dil se Takabbur ko khatam kardeta hai,aur Salam se Bandeh ko Nekiya milti hain,aur Ibadat ka sawab bhi ata kiya jata hai,
Salam ek aysa Amal hai,ke usko Bandah kabhi bhi karsakta hai,Sivaye baaz maqamaat jaise Baitul Khala(Toilet) me Na salam karna hai,aur Na uska Jawab dena hai,
Aur Khate waqt,Wazu Banate waqt etc..Mauqo per Salam Nahi karna hai,agar koi in Mauqo per Salam kar hi de to Wazu ke baad aur khane ke Baad ya darmiyan me bhi jawab de sakte hain.
Allah hame ibadat,Sadqah aur Ache Akhlaaq apnane ki tafeeq atakare.Ameen

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site…anwaarulialam,com.

You might also like