DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : LIBAS , DAY : 325,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne Khade(standing)hokar Jute(Shoe) pahen ne se Mana farmaya hai.
(Vol/2,H,No :1886),
Dars : Is Hadees e paak me Jute pahen ne ke adaab bataye gaye hai,
Qurban jaye Piyare Aaqa sallallahualihiwasallam ki is tarbiyat per ke Ummat ke chote se chote masleh ka hal bhi Achi Tarbiyat ke zariyeh farmaye hain,
■■ Khade hokar Shoe pahen ne se isliye Mana kiya gaya hai,ke Bandah jab khade hokar juta pahenta hai,to uske Badan ka wazn
(Body Balance) kisi ek Pair(leg) per hojata hai,jis se us shaks ke Gir kar zakhm ho jane ka ziyadah andesha hota hai,is se hifazat keliye Baith kar juta pahenne ka hukm diya gaya hai,
●● Baaz Jute Banaye hi ayse gaye ho ke jinko khade (standing) hokar kar bhi aasani se pahen sakte ho to phir unko khade hokar bhi pahen ne ki ijazat hai.

Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like