DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 388 ,Hadees No :2042

Hazrat Sahal Bin Sa’ad(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Mai Aur Yateem ki kafalat karne wala Jannat me Is tarah Qareeb rahenge ke jaise Haath ki Shahadat aur Darmiyani Ungli jitni Qareeb hoti hain,ye kahte huve aapne Ungliyo se isharah farmaya.
(Vol/2,H,No :2042),
Dars :Yateem ki tareef : Jis Bacha(He) ya Bachi(she) ke walid ka Na Baligh Umer(minor age) me Inteqal hojata hai,usko Yateem kahte hain,
■■ Agar koi Bandah kisi Yateem ki kafalat kar raha hai,to zahir me wo yateem ki madad kar raha hai,lekin Haqeeqat me ho Jannat me
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke Rifaqat ke Asbaab bana raha hota hai,usko Rifaq bhi milegi aur Jannat bhi insha Allah,
●● Yateem ki kafalt keliye Maal wale logo khud unhe talash karke Kafalat karna hai,jab koi aysa karega to Allah ki Rahmat aur Dunya ki Dawlat bhi us bandeh ko talash karti huvi uske paas Hazir hogi..Insha Allah,
Agar Madad Nahi karsakte to kam se kam unper Nazre Shafaqqat to daale to uski bhi Barkar Naseeb hogi,
Allah hame yateemo ki madad aur un per raham karne ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like