DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 464,Hadees No :2146,

 

Hazrat ibne Abbas(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam)ne Hazrat Mu’az Bin Jabal(raziyallahuanhu) ko Yaman rawana karte waqt farmaya : Aye Mu’az Mazloom ki Bud Dua se Bacho Kyu ke Uske Aur Allah ke Darmiyan koi Pardah Nahi hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2146),
Dars : Pardah Na Hone Ka Matlab:Mazloom ki Bud Dua Jald Qubool hoti hai,Allah uski Wo Dua Qubool karne me der Nahi karte hain..
●● Har Wo Kaam Ya Baat Ghair Munasib waqt ya Maqam me ho to wo Zulm hai,Yani Jo Kaam jis Maqam pe Karna ho agar wo Na kiye to Zulm hai,Yani kisi Ghareeb ka Maal ya Jaydad ho use usko diye baghair khud hi rakhle to ye zulm hai,
Jis se khudko aur Doosro ko bhi Noqsan hota hai,
●● Aksar Zulm Maal,Mansab ya Taqat ki wajah se kiya jata hai,lekin ye Baat yaad rahe ke Maal Wo Taqat ek waqt tak hi rahengi magar Zulm ka Asar dunya me aur uska Azab Aakhirat me Hamesha Baaqi rahne wala hai…Allahu Akbar Kbeera..
●● Deen e islam me Zulm Sahna aur Zulm karna Dono Jayiz Nahi hai,Haan,Jahan Hikmat Zulm Sahne me ho aur Khamooshi hi me Kamiyabi ho to waha Zulm Sahna ziyadah Munasib hai,aur uske Anjaam ko Allah per Chod dena chahiye..
Allah hame Zulm sahne aur Zulm karne se mahfooz rakhe..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like