DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 465,Hadees No :2148,

 

Hazrat Abdullah Jadali(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,Hazrat Sayyidatuna Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) ne farmaya :ke Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Kabhi Ghair Munasib Alfaz Nahi kahe hai,aur Na hi Kabhi Bazar me Buland Awaz se Baat kiye hai,aur Aap Burayi ka Badlah Achayi se diya karte,Khata kar ko Maaf aur Darguzar farmaya karte.
(Vol/2,Hadees No :2148),
Dars : Jinki Zuban e Aqdas se Hikmat ke moti Qurani Ayaat ke Shakal me Baraste ho to unki us Zuban se Ghair Munasib Alfaaz kise nikal sakte hain,hargiz nahi…
●● Bazar me insaan jitni ziyadah awaz buland karega us ka waqar wa Rutbah bhi logo ki nigaho me khatam hojayega,lehaza Ahistah wa Suljhe huve lahje me Baat karne se Logo ke dilo Me Tazeem wa Ehteraam paida hota hai,
■■ Maaf karna Sab se Badi dawlat kaha gaya hai,jo insaan tak hi Nahi balke uske marne ke Baad bhi uske pushto wa Nasl me us Madad ka Asar Baaqi rahta hai,
Maaf karne se Insaan Kamzor Nahi Balke Akhlaaqi etebaar se Mazeed taqatwar hojata hai.
Allah hame in Baato per Amal karne wala banaye..Ameen.

You might also like