DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 463,Hadees No :2145,

 

Hazrat Abu Dardaa(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam)ne farmaya :
Jiske Paas Narmi ho to Samjho Usko Bhalayi ka Hissah Ata kiya gaya,aur Jo Narmi se Mahroom ho to Samajhlo ke usko Bhalayi se Mahroom kardiya gaya hai.
(Vol/2,Hadees No :2145),
Dars : Narmi ki 2 Qisme hain,
1) Zubani , 2) Amal(Kaam me Narmi),
●● Zubani Narmi : Bandah Jab bhi Koi Baat kare to Narmi ke Saath kare taake Saamne wala usko Sahi Andaaz me samajh sake Narmi se Baat karne me Saamne Wala Na sun na bhi chahe to Narm Baat ko sunleta hai,Aur ye Andaz seedeh dil per Asar karti hai,Walidain,Miya Bivi,Ustad Shagird,Manager Assistant..etc apne apne Maqam per Narmi se Guftugu kare to insha Allah Jhagde hi khatam hojayenge…
●● Kaam Me Narmi :Jo kaam narm andaz me kiye jane wala ho to usko us tarah se karna hai,Kamiyab tajir ki Sab se Ahem Sifat Narm Baat karna hi hoti hai,aur Har Field me kamiyabi ki yahi sifat hoti hai,warna Baaz kaam(Mareez ko hospital lejana ho..etc..) Jald hi kare to sab keliye behter hai,
Ab Jiske paas Narmi Na ho to Usko Log bhi pasand Nahi karenge aur Allah bhi usko Bahalayi se Mahroom kardega.
Allah hame Narm ko thaamne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like