DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QASAM AUR MANNAT, DAY : 302,

 

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jo koi Allah ki Ita’at(farmabardari) karne ki Mannat maangle to wo Ita’at kare,aur Jo Allah ki Na Farmani karne ki Mannat Maange to wo Na farmani Na kare.
(Vol/2,H,No :1610),
Dars:
■■ Qasam kisi kahte hai ?
Jab Bandah kisi kaam ya Baat me Khud ko ya Ghair ko Yaqeen dilana Maqsad ho to us waqt Allah ke Naam ya Sifaat se Qasam khane ka Naam hi *Qasam* kahlata hai,
●● Nazar (*MANNAT*) : Jab Bandah ka Koi Kaam Na horaha ho to uski Takmeeli aur Shukranah ada karne me Allah ki Ibadat ya koi Nek Kaam karne ki Niyyat karne ka Naam hi Mannat hai,
☆☆ Allah ki ita’at jaise Koi Kaam Banjaye to 3 Din Rozeh rakhna ya 10 Rakaat Nafil Namaz padhne,,etc..ki Niyyat kare to ab wo 3 Din ke rozeh Ya 10 Rakaat Nafil Namaz ka padhna Kaam hone ke Baad Wajib Hai,agar Na rakhe ya Na padhe to Gunahgaar hoga,
Haan,Agar Koi Kisi kaam ke banjane ya Na ban ne per Allah ki Na farmani(NawuzuBillah…) Sharab peene ya Pilane..etc…ki Niyyat kare ya Mannat maangle to ab usko poora karna Wajib hi Nahi hai,
Kyu ke Qasam aur Mannat ka etebaar Allah ki ita’at me hota hai,Na farmani me Nahi…

Plz..Share it to All,For more Visit our islamicc web site…anwaarulislam,com.

You might also like