DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : QURBANI, DAY : 299,

Hazrat Sulaiman Bin Buraidah apne Walid e Mohtaram(raziyallahuanhuma) se rivayat kiya,kaha,ke Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Maine Tumko Qurbani ka Gosht 3 Din se ziyadah hone per Khane se isliye Roka tha ke Maal dar Shaks apne Qurbani ka Gosht Ghareeb Shaks ko bhi de sake,lekin ab tumhe 3 din se ziyadah hone per bhi Qurbani ka Gosht khane ki ijazat dijati hai,Tum Qurban ka Gosht Khavo,Khilavo aur Zakheerah bhi karo.
(Vol/1,H,No : 1592),
Dars :Deen e islam jaha Allah ki Ibadat ki Taleem deta hai,Wahi wo Allah ke Bando ki Nusrat(Madad) ki bhi Taleem zaroor deta hai,wo isliye ke Deen e islam Hamesha Ek Doosre ko Barabar(equal) ka darjah deta hai,Lehaza Qurbani jab Ameer de to Ghareeb ko Wo Gosht taqseem karne ko Mustahab qarar diya gaya hai,ta ke Ghareeb bhi qurbani ke gosht se lutandoz hosake,
■■ Qurbani ke Gosht ke 3 Hisseh karna hai,
1) Ghareebo ka Hussaha
2) Rishteh Daaro ka Hissah,Is Hissah ko paka kar bhi Khila sakte hai,
3) Khud Apne Gharwalo ka Hissah,
Note : Aqeeqah ke gosht ka bhi yahi hukm hai.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like