DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : SAID (SHIKAR), DAY : 289,

Hazrat Abu S’alabah Khushani(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) se sawal kiya ke Hum Teero(Hathyar,etc..) se Shikar Karne Wale log hai,to Hamare liye kiya Ahkamaat hain ? To aapne farmaya : Jo Teer Janwar ka Shikar karde to usko Tum khalo,
To kaha phir maine Sawal kiya :Hum Aksar Yahoodi,Nasrani(chiristians) Aur Majoosi logo ke Shahro(Cities) me Safar kiya karte hain ,aur Hame Unke Bartan hi istemal karme ko milte hain,To unke istemal ka kiya hukm hai ?
To aapne Farmaya :Jab unke hi Bartan istemal karne ke Alawah koi Charah Na ho to ab Unke Bartano Ko Acchi Tarah dholo(wash) phir unko Istemal karo.
(Vol/1,H,No :1536),
Dars : Shikari Hathyar ya Nokdar cheezo se Jab bhi koi kisi jawar ka Shikar kar rahe ho to Us cheez ko shikar ki Niyyat se chodne se pahle jaise ..Teer Marne ya Bandoq se Bullet chalane se pahle *BISMILLAHI WALLAHU AKBAR* kahna zaroori hai,warna wo janwar Halal Nahi hoga,(ye Maslak e Hanafi ka Hukm hai),
(Al Hidayah,Vol/2)
■■ MAJOOSI :Un logo ko kahte hain,Jo Aag(fire) ki Pooja karte hain,Usko Apna Malik maante hai,NawuzuBillah…..
●□□ Yahoodi,Nasrani aur Majoosi ke Bartano ko Baghair Dhoye(Wash) kiye istemal karne ki ijazat Nahi hai,kyu ke Wo log Haram Janwaro ko khaya karte hain,unki Bartano ki Nisbat un Napak Cheezo se honjati hai,unko Us Nisbat se paak karne keliye Dhona zaroori hai,
Yaad rahe ke Deen e islam me Jitni Fazeelat Nek logo aur Achi Cheezo se Nisbat aur Sohbat me hai,Utni hi MAZAMMAT Bure Logo aur Buri Cheezo se Nisbat aur Sohbat me bhi hai…
Allah hame Paak rahne aur Pakeezah Ghiza khane ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more visit our islamic web site …anwaarulislam,com.

You might also like