DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : SAID (SHIKAR), DAY : 290,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,ke Hame Majoosi ke Kutte ke Shikar kiye huve Janwar ka Gosht Khane se Mana kiya gaya hai.

(Vol/1,H,No :1539),
Dars :Majoosi Log Jo ke Aag ki Pooja karte hain,Jab wo apne Kutte ko Shikar keliye Bhejte hain,to wo Allah ka Naam Nahi lete hain,lehaza Jab Allah ka Naam hi Na liya jaye to wo Janwar Halal hi Nahi hota hai,
■■ Haan,Agar wo Majoosi Apne Kutte ko Shikar ko Bhejne se pahle Bismillahi WallahuAkbar Padh bhi le to Tab bhi wo Janwar Halal Nahi hoga Kyu ke wo *MUSALMAN* Nahi hai,Matlab Janwar ke Halal hone keliye Allah ke Naam ke Saath Musalman ka hona bhi Shart hai,Warna Janwar Halal hi Nahi hota hai,
●● Isliye Ghair Muslimo ke Shop se Chicken ya Motton Nahi lena Chahiye,Kyu ke Wo Allah ke Naam se Janwar ko Zubah hi Nahi karte hain,Jis ki wajah se ham “HARAM GOSHT”ka Niwala Apne pet(stomuch) me daalte hai,jis se Ibadat me Lazzat Khatam hojati hai,aur Awlaad Na farman Nikalti hai,aur Ghar se Barkat Khatam hojati hai,
☆☆ Agar Ghairo ki dukan me koi Musalman Zubah kare aur Hum Aankho se dekhe to Waha se Gosht lene ki ijazat hai,Warna Nahi lena hai,Lekin Behter yahi hai,ke :
Ghair Muslimo ki Shop se Gosht Nahi lena hai,Warna Mehnat ke Paiso ko Haram me Badalne ke zimmahdar khud hum hi honge..!!!

Allah hame Halal Ghiza Khane ki taufeeq ata kare..Ameen

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like