*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY :115,

 

Hazrat Abu Bakr(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya:Jab kisi Bandeh se Gunah hojaye aur wo usi waqt Paak Hokar(Wazoo ya Ghusle ke Baad) Namaz padhta hai,Aur Isteghfar aur *SACCHI TAUBAH* karta hai,to Allah us Bandeh ke Gunah Maaf kar deta hai.
(Vol/1,H:408),
Dars: Piyare Islami Bhaiyo,Jab bhi Taubah kare to Pahle Namaz Phir Taubah kare to ziyadah Behter hai,Kyu ke Namaz Rahmat bhi hai aur Rahat bhi,
Is choti si zindagi me Taubah Bohat Badi Nemat hai,lehaza Hame Baar Baar hamesha Taubah karna chahiye..Kiya pata Kab Hamari Taubah qubool hojaye…
Allah hame sacchi Taubah ki Taufeeq ata kare.
Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like