*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHPATER : SALAH(JUMAH), DAY :138,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Raool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jumah ke Din Jo Wazoo karke Masjid ko jayega aur Khamooshi se Khutbah sunega to Allah Uske is Jumah se aane wale juma tak ke Saare Gunah Maaf kardega,haan,jo bhi khutbah ke darmiyan kankar bhi apne saamne se hatayega to wo Laghu(Na Munasib Kaam) karne wala samjha jayega.
(Vol/1,H,No:500),
Dars:Wazeh rahe ke is Hadees me Jumah ke din WAZOO ka hukm aaya hai,wo isliye ke Jin Maqamaat per agar Paani Na Mile ya waha paani(water)Kam miqdaar me hota ho to waha Jumah ke din sirf wazoo bhi bana le to Kaafi hai,Namaz hojayegi,
Haan,agar Jumah ke din Ghusl wajib hojaye aur paani(water) Na ho to Ab yaha “TAYAMMUM” karna Wajib hai,
●●Gunah ki Maafi se murad”SAGHEERAH” gunah hai,agar jo Kabeerah gunah karta jaye to uski Maafi sirf Sacchi Taubah hi hai.
Gunah Maafi samjh kar Aur GUNAH karte jana Ye sabse Bada Gunah hai.
Allah sabko Gunaho se mahfooz kare,Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like