DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY :878-HADEES NO :2824

Hazrat Abdullah Bin Umer(Raziallahuanhu) se Rivayat hai,kaha,Rasoolullah ﷺ Ek Shak ke Pass se Guzre Jo Apne Bhai ko Haya ki Naseehat kar rahe the,to Aap ne farmaya : HAYA EIMAN ME SE HAI.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2428),

Dars : Insaan aur Haiwan me Agar koi Cheez Farq karne wali hai,to Wo Haya hai,ye Haya hi hai,Jo Insaan ko Ashraf bana deti hai,aur usko Eiman ki Bulandi tak Pahonchati hai,ye Haya hi hai,Jo Logo ko Dilo me Izzat wo Azmat ko Paida karti hai,ye haya hi hai,Jo Doosro ke Nazro me Adad ko ijagar karti hai,

Jab Haya Na ho to Insaan Ashrat se Abtar ke Darjeh me pahonch jata hai,aur Apne Maqam ko Insaano se Haiwano tak pahonch jata hai..!!aur Apni Eiman ke saath Saath Akhirat ko bhi Khatam karleta hai,

● Haya Jisam se bhi hoti hai,aur Lafz wa Lahjo aur Apni Nigaho se bhi hoti hai,Haya ki Koi Hadd Nahi Hai,jaisake Hazrat Sayyiduna Usman bin Affan Raziallahuanhu ne Haya ki itni Bulandiyi per faiz the ke Aasmani Farishteh bhi aap se Haya karte..Allahu Akber Kabeera.

Aah Hame Haya ke Daman me Hamesha Rakhe..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

 


 

You might also like