DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:880,HADEES NO:2826

Hazrat Sayyiduna Abu Saeed Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH sallallahualihiwasallam ne farmaya:JAB tum Kisi Shaks ko Masjid se Jude huve dekho to uske Eiman ke Gawah Banjavo,kyu ke Allah Farmata hai,ke Yaqeenan Allah ki Masjido ko Wahi Shaks Aabad karta hai,Jo Allah,Aur Akhirat per Eiman Rakhta hai,Namaz ada karta hai,aur Zakat deta hai..

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2826),

Dars : Dunya me Sab se Mahfooz maqam Masjid hai,wo Har Burayi aur Bad Amali se Paak hota hai,Jaha Amam wa Salamati hoti hai,Jo’s Ibadat Gaah se lekar Darsgaah ka Kaam deti hai,to Ayse Maqam pe jame rahne aur usko Thaame rahne ki itni Fazeelat hai,ke uske Eiman ke gawahi keliye khud Rasoolullah sallallahualihiwasallam farma rahe hai,Allahu Akbar Kabeera ye Barkat wa fazeelat hai,masjido se jude rahne walo ki aur unkeliye khoob fazeelate hain,

● Ab Jo Masjid ke intezami Umoor ke zimmehdaaran hai,wo Apne aapko Masjid KA khadim Samajh kar kaam kare to unke Kaam ke Ahmiyyat hogi aur Har Baat me Amanat daari ke saath Kaam kare to Wo 2 jaha keliye khair hoga,

Allah hame dere Dar se hame jude rahne ki taufeeq ata farma..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

 (FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT MAHBUBNAGAR,TELANGANA),

 

You might also like