DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:875-HADEES NO : 2821


Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (raziallahu) se rivayat hai, kaha : RASOOLULLAH ﷺ ne Logo de Khitab karke  farmaya: Aye Moashreh ki Aurate..Tum Sadqah kiya karo,kyu ke Tum hi Ziyadah Jahannam me Jaani wali hain,To un me se Ek Aurat ne sawal kiya :Aysa Kyu Ya Rasoolullah sallallahualihiwasallam? To aapne farmaya : Tumhari Kasrat se Lanat karne ki wajah se hai yani Shohar ki Na Shukri karne ke sabab hai..!

Phir aapne farmaya : Maine Aurato se ziyadah Kam Deen aur Kam Aqal wali kisi ko Nahi Paya,

To Ek Aurat ne sawal kiya Aurato ki Kam Deeni aur Kam Aqli kiya hai ya YA Rasoolullah sallallahualihiwasallam?

To aapne farmaya: (Shareeat me ) 2 Aurato ki Gawahi 1 Mard ki Gawahi ke barabar hoti hai(ye Kam Aqli hai),

Deen me Kami ye ke Aurato ko Haiz(Periods) Aata  hai,jiski wajah se 3 ya 4 Din Namaze Nahi padhti hain.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2821),

Dars : Hadees e Paak ki Tashreeh ye hai,ke Aurato ko Apne Fitri(Natural) Cheezo ko Madde Nazar rakhte huve Sadqeh ke Zariyah Apni Khamiyo aur Deeni Kamiyo ko pura karne ki taraf tawajjuh dilana maqsood hai,Aur ye Koi Na insaafi Nahi hai,balke ye Qudrat ka Nizam hai,Jo Allah ki taraf se Aurato keliye rakha gaya hai,aur Aap sallallahualihiwasallam Kasrat sadqeh ki tawajjuh dila kar Aurato per Ehsaan e Azeem farma rahe hai,aur unko Ek sahi Raah ki taraf Rahnumayi farma rahe hai,Agar Aurate ziyadah Sadqah karengi to unki Khamiya Khoobiyo aur Nekiyo me Badal jayengi InshaAllah,

● Kam Aqal KA Matlab fitrati wa Qudrati taur per Aurato ko Aksar Awqaat Bohat se Cheeze Yaad Nahi rahti,aur unke moamalaat Ghar se Baher Mardo jaise Nahi rahte hai,jiski wajah se wo Kam Tajrubeh kaar aur Kam Zaheen hoti hai,jiski wajah se wo Bohat si Cheeze Bhoolti rahti hai,lekin ye bhi Unke liye Allah ki taraf se Rahmat hi hai,

■ Haan,Agar Aurato ko Samajhdaar Shohar mile to wo uske Moamlaat me sahi Rahnumayi karsakta hai,

Allah Hame ziyadah sadqah dene wala Banaye..Ameen YA Rabbi.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF ARABIC SCHOOL ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

 

You might also like