DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 569,Hadees No :2378,

 

Hazrat Umer Bin Khattab (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Qareeb Ek Aag(fire) Maqam e Hazara maut se Niklegi jo Saare Logo ko Jama karne lagegi,to ye Shaks ne Arz kiya to phir hum us waqt kiya kare to aap ne farmaya :Mulk s Sham(syria) me Chale javo.
(Vol/2,Hadees No :2378),
Dars : is Hadees e paak me qiyamat se pahle wale Halaat ke bare me bataya gaya hai,ke Qiyamat se pahle Ek Bohat Badi Aag sabko ek Khaas maqam pe jama karegi to Baaz kitabo me aya hai,ke wo Mulk e sham hoga aur Baaz ne doosri baat bhi kahi hai,
Bahrehal Us waqt Aag ki Haul Naaki wa Wahshat se Mahfooz hone bahtreen maqam Mulk e Sham hi hai,
●● Ye Saari Baate isi liye batayi gayi hain,ke Bandah Dunya ko hi sab kuch Na samajh baithe balke Akhirat ko hamesha zahen me rakhe phir uski tayyari me lage rahe kyu ke dunya ke aage bhi ek Hamesha Baaqi rahne wala Jahan hai,usi me dayimi zindagi basar karni hai,
Allah hame Sahi Fikr wa Amal ki taufeeq naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,fo more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like