DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 339,

Hazrat Jabir Bin Abdullah

(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jab Koi Khane ka Luqmah girjaye aur usper koi cheez lag jaye to usko door karo phir usko khalo,Taake wo luqmah shaitan keliye Na chodo.
(Vol/2,H,No :1915),
Dars : Deen e islam Khane(Rizq) ki tazeem wa ehteram aur Khane me israaf Se bachne ki taleem deta hai,
Isiliye agar luqmah ya khane ki koi cheez Haath se choot jaye aur usper koi cheez na lagi ho to usko utha kar khane me Haya wa sharm Nahi karni chahiye kyu ke usme to Hamare Nabi e paak sallallahualihiwasallam ke Sunnat se Wafa Sabit hoti hai,Jo 2 Jahan me Kamiyabi ki Jaza(in’aam) hoti hai,
●□ Haan,Agar us Luqmah per koi cheez lag jaye aur wo khane ke qabil na ho to ab usko Nahi khana chahiye taake sehat per kuch asar na padhe,
■■ Shaitan keliye chodna ?
Iska matlab Rizq ki jitni Be Hurmati aur Israaf kiya jata hai,aur rizq ko jitna pheka jata hai,to us se Bandeh ke Rizq se Barkat khatam hojati hai,aur is se shaitan khush hota hai,taake Bandah pareshan ho aur Allah ki ibadat se door hojaye..!!
Allah hame Rizq ka Ehteram karne wala banaye..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamjc web site..anwaarulislam,com.

You might also like