DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 417,Hadees No :2077,

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Koi Kisi Ghalati per Apne Ghulam per Haath uthaye aur wo Allah ko Yaad kare to Apne Haath ko Roklo.
(Vol/2,Hadees No :2077),
Dars : Deen e islam Apne Khadimo aur apne se Kam Mansab walo per Haath uthane se Rokta hai,Balke Kisi Ghalati ya khami ko Ache Andaaz me Sudharne ki Taleem deta hai,
●● Allah ki Yaad per Haath Roklene me Ye Hikmat hai,ke Bandah apne se kamzor per Haath uthaye aur wo Allah ko Yaad kare to uske dil me ye baat ajaye ke Saare Alamo se Ziyadah Taqatwar Allah hai,aur Bandah Aajiz wa Mohtaj hai,
■■ Baaz log Apne Bivi per Haath uthane ko Mardangi Samajhte hain,Jabke Sabse Bad tareen amal Aurat per Haath uthana hai,Aur iski islam me sakht Mumana’at hai,Aurat Maarne se nahi Balke Piyar se Samjhane se Samajhti hai,Warna Maarne se to wo Mazeed Ulajhti hai….!!
Allah hame Sabr wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like