DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 418,Hadees No :2078,

Hazrat Jabir Bin Samurah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Walid ka Apne Bacho ko Adab Sikhana Ek Sair (Ek Paimanah jis se Naapa jata hai) Sadqah dene se bhi Behter hai.
(Vol/2,Hadees No :2078).
Dars : Awlaad pe sab se ziyadah Walidain ke Akhlaaq ka Asar hota hai,Bache Walidain kk Har Ada ko apnane ki koshish karte hain,kyu ke wahi to hai,jo Awlaad ke Sab se pahle Ustad(Teacher) bhi hote hain,Lehaza Walidain keliye Apne Bacho ki Sahi Tarbiyat wa Umdah Akhlaaq sikhane ka Ahem Nuskha yahi hai,ke “WALIDAIN KHUD HI ACHE AKHLAAQ WALE HOJAYE TO PHIR AWLAAD BHI AASANI SE KHUSH AKHLAAQ HOJAYENGE INSHA ALLAH ”
●● Agar Walidain ke Alawah bhi Bacho ko Ache Akhlaaq Sikhane ki Zimmah dari unke Ustado(Teachers) per bhi hoti hai,wo bhi unko Apne Bacho ki tarah Ache Akhlaaq ki tarbiyat karni chahiye…
■■ Lekin Ye Baat bhi Afsos ke Saath kahni padti hai,ke Aaj kal ke Mahol me Baaz walidain Bacho ko pahle se Apne Status aur Postition Maintane karne ki taleem bachpan se hi dete hain,jiski wajah se Bache Baad me Mutakabbir Hojate hain,wo Baad me Aam logo ki tarah Khushi ke saath zindagi Nahi guzarte sakte hain,Lehaza Ache Akhlaaq ki Bunyad(Base) Aajuzi,Inkisari,aur Saadgi hoti hai,ye jisko Mil jaye to samjho usko Sab kuch Mil jayega..insha Allah.
Allah hame apne awlad kk sahi tarbiyat karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like