DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 425,Hadees No :2083,

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kisi Na Beenah Shaks(Blind) ko Raastah Batana bhi Sadqah hai,aur Raasteh se Patther,Kaanta aur Takleef wali Cheez Hatana bhi Sadqah hai,Apne Dol se Paani(water) ko Apne Bhai ke Dol me Daalna bhi Sadqah hai.
(Vol/2,Hadees No :2083),
Dars : Deen islam ki Rooh hi Ek Doosre ki Madad karna hai,Jab Tak ye Sifat Musalmano me Baaqi rahegi,Dunya ki koi taqat musalmano ka Kuch Bhi Bigad Na sakegi,
Haan,Jab apasi Madad musalmano me Khatam hojayegi to Phir Musalmano ko Choti si Choti Taqat bhi pareshan kardegi,lehaza hame Hamesha Apas me Madad karni chahiye..
■■ Raasteh se Takleef wali Cheez : Raasteh me Bike ya Car etc..Park Na karna bhi Neki me se hai,kyu ke wo agar Raasteh me Rahe to Guzarne walo ko Takleef hoti hai,aur takleef wali cheez ko Raasteh se Hatana Sadqah wa Neki me se hai…
●● Dol se paani(Water) Dalna : Yani Apni Kisi bhi Choti si Choti Cheez ya Apni Taqat ke muwafaq kisi ki Madad karna bhi Neki wa Sadqah hai,Madad me Kasrat ko Nahi balke Dil ki Niyyat ko Dekha jata hai…
Allah se dua hai,ke hame islami sunahre Usoolo per Qayim wa dayim rahne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like