DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 467,Hadees No :2151,

 

Hazrat Abdullah bin Umer(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Momin Doosro per Lanat Bhejne Wala Nahi hosakta hai.
(Vol/2,Hadees No :2151),
Dars : Deen e islam Doosro ko Duae aur Khair khahi karne ki Taleem deta hai,Lanat bhejne me Doosro keliye Noqsan aur Inteqam paya jata hai,isliye wo islami Aadab me se Nahi hai,
●● Allah ke Paas Momin ke Ek ek Lafz ki Badi Ahammiyyat hoti hai,isilye to Allah Bandeh ke sirf ek Martabah zikr karne se 10 Nekiyo ka sawab ata karta hai,aur Baaz Azkaar se to Hazaro Nekiyo ka sawab ata karta hai,lehaza Bandeh ko Apni Zuban LANAT keliye Nahi Balke Dooaro ki RAHMAT keliye istemal karna hoga jo khud uskeliye 2 Jahan me kamiyabi ka zariyah hoga…
Allah hame Rahmat ka sabab ban ne waka banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like